Naare dozakh ko chaman kar de bahare aariz
Zulmate hashr ko din kar de nahare aariz
Main toh kya cheez hu khud sahibe Quran ko shaha
Laakh mushaf se pasand aayi bahare aariz
Jaise Quran hai wird uss Gul e Mehboobi ka
Yunhi Quran ka wazifa hai waqare aariz
Garche Quran hai na Quran ki barabar lekin
Kuch toh hai jispe hai woh madha nigaare aariz
Toor kya arsh jale dekh ke woh jalwaye garm
Aap aariz ho magar aainaye daare aariz
Turfa aalam hai woh Quran idhar dekhe udhar
Mushafe paak ho hairane bahare aariz
Tarjama hai ye sifat ka woh khud aainaye zaat
Kyun na mushaf se zyada ho waqare aariz
Jalwa farmaye rukhe dil ki siyahi mit jaye
Subha ho jaaye ilahi shabe taare aariz
Naame haq par kare mehboob Dil o Jaan qurbaan
Haq kare arsh se ta farsh nisaare aariz
Mushk bu zulf se rukh chehre se baalon me shu-aa’
Mojiza hai halabe zulfon tataare aariz
Haq ne bakhsha hai karam nazre gadayan ho qabool
Pyaare ek dil hai woh karte hai nisaare aariz
Aah be mayagiye dil ki Raza e Mohtaj
Le kar ek jaan chala bahre nisaare aariz