Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
Ik Tera Naam Waseela He Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Iss Naam Sey Rahat Hogi
Ye Suna He Ke Bahot Rat Andheri Hogi
Qabar Ka Khof Na Rakhna Ae Dil
Waha Sarkar ke Chehare Ki Ziarat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Unko Mukhtar Banaya He Mere Mola Ne
Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
Jisko Hasnain Ke Baba Ki Ijazat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Unki Chokhat Pe Pare He to Bari Moj Mein He
Lot Ke Ayengey Jab Us Dar Sey
Merey Dil Tu Hi Bata Kya Teri Halat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Hashr Ka Din Bhi Ajab Dekhne Vala Hoga
Zulf Lehra Ke Wo Jab Ayenge
Phir Qayamat Mein Bhi Ik Aur Qayamat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Rashk Sey Door Karey Deyktey Hogay Zaahid
Jab Sare Hashr Gunahgaro Pe
Mere Aaqa Ka Karam Hoga Inayat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Kahi Yaseen Kahi Taha Kahi wa-shams Aaya
Jiski Qasme Mera Rab Yad kare
Kitni Dil-Kash Mere Mehboob Ki Surat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Do Jahaan Mein bhi Use Kon Pana me lega
Hoga Ruswa wo Sare Hashr Jise
fatma Zahra Ke Bachcho Se Adawat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Mere Sarkaar Bulayenge, Un Ki Chokhat Pe,
Wo Nazaara Phir Me main to dekhunga,
Dekh Kar Gumbad-E-Khazra, Meri Ulfat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....
Apna Daman To Gunaho Se Bhara He "Altaf"
Ik Sahara He Ke Mein Unka Hoon
Bas Issi Nisbat Se Sar-e-hashr Shifa-at Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein .....