Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna
Nabi Ke Naam Per Ae Naamdaaron Jhoomtay Rehna
Jahaan Mein Noor Leykar Noor Wala Aanay Wala Hai
Meray Hamraah Tum Bhi Dil Ke Taaron Jhoomtay Rehna
Galli Koochay Sajadena Harray Jhanday Lagadena
Taqaaza Ishq Ka Hai Mere Yaaron Jhoomtay Rehna
Nabi-e-Sarwar-e-Konain Ki Aamad Ke Lamhoon Mein
Durood-e-Pak Parhtay Parhtay Saaron Jhoomte Rehna
Musawaat-o-Akhuwat Ka Payaam-e-Dil Nasheen Laaye
Khushi Mein Aey Ghareebon Maaldaaron Jhoomte Rehna
Woh Aaye Gham Qaday Mein Ek Khushi Ki Roshni Phooti
Khuda Ke Shukar Mein Aey Gham Ke Maaron Jhoomte Rehna
Khushi Ik Dil Pe Hai Chaayei Wiladat Ki Ghari Aayei
Arey Aey Gul A’zaro Maah Paaron Jhoomte Rehna
Bujhay Na Ishq-e-Ahmed Ki Agan Qalb-e-Ujagar Se
Dharakna Aur Ae Dil Ke Shararon Jhoomte Rehna