Nabi Ke Nawase Hussain Ibn E Haider
Larakpan Ka Wada Nibhanay Chalay Hain
Soye Karbala Woh Bahatar (72) Ko Lekar
Razaye Khuda Sar Katanain Chalay Hain
Who Duld Pey Dekho Shahadat Ki Dhun Mein
Chaley Taigh Lekar Woh Shair E Khuda Ki
Akeley Woh Ran Ki Taraf Allah Allah
Lainon Ki Basti Mitaney Chalay Hain
Nabi Ke Nawase Hussain Ibn E Haider
Larakpan Ka Wada Nibhanay Chalay Hain
Woh Ghar Se Nikal Kar Madiney Ke Bahar
Kharey Keh Rahay Hain Yeh Zahra Ke Jani
Lainon Se Keh Do Ke Ummat Ki Khatir
Hussain Apne Ghar Ko Lutane Chalay Hain
Nabi Ke Nawase Hussain Ibn E Haider
Larakpan Ka Wada Nibhanay Chalay Hain
Jidhar Dekhiye Mout Ka Hai Andhera
Yeh Ro Ro Key Kehta Hai Dil Aaj Mera
Hazaron Key Narghey Mein Shabir Tanha
Lahoo Apna Dil Ka Bahanay Chalay Hain
Nabi Ke Nawase Hussain Ibn E Haider
Larakpan Ka Wada Nibhanay Chalay Hain
Ateeq Iban E Haidar Ka Seeney Mein Gham Hai
Jabhi Asim Meri Aankhon Mein Nam Hai
Woh Zahra Ke Peyare Ali Ke Dularey
Hai Waqt E Umar Sar Jhukanay Chalay Hain
Nabi Ke Nawase Hussain Ibn E Haider
Larakpan Ka Wada Nibhanay Chalay Hain
Submit By Asif Lobi