Peysh-e-Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunatay Jaayeingay
Aap Routay Jaayeingay Hum Ko Hasaatay Jaayeingay
Dil Nikal Jaanay Kee Jaa Hai Aah! Kin Aankhoon Say Wo
Hum Say Piyaason Kay Liyay Darya Ba-ha-tay Jaayeingay
Kushtgaane Garmiye Mahshar Ko Wo Jaane Maseeh
Aaj Daaman Ki Hawa De Kar Jilate Jayenge
Gul Khilega Aaj Yeh Unki Naseeme Faiz Se
Khoon Routay Aayenge Hum Muskurate Jayenge
Haan Chalo Hasrat Zad-oon Suntay Hain Wo Din Aaj Hai
Thee Khabar Jisskee Kay Wo Jalwa Dikhaatay Jaayeingay
Kuch Khabar Bhee Hai Faqeeron Aaj Wo Din Hai Kay Wo
Na’mat-e-Khuld Apnay Sadqay Meyn Luta-Tay Jaayeingay
Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai
Khud Wo Girr Kar Sajdah Meyn Tum Ko Utha –Tay Jaayeingay
Wus’ateyn Dee Hain Khuda Nay Daaman-e-Mehboob Ko
Jurm Khultay Jaayeingay Aur Wo Chupatay Jaayeingay
Lo Wo Aayay Muskuratay Hum Aseeron Kee Taraf
Khirman-e-Is’iyaan Pay Bij-lee Gira-Tay Jaayeingay
Sokhta Jaano Pe Wo Pur Joshe Rahmat Aaye Hain
Aabe Kausar Se Lagi Dil Ki Bujhate Jayenge
Aaftaab Unka Hii Chamkega Jab Auron Ke Chiraag
Sarsare Joshe Bala Se Jhilmilate Jayenge
Paaye Quba Puul Se Guzrenge Teri Aawaaz Par
Rabbi Sallim Ki Sada Par Wajd Laate Jayenge
Sarware Di Lije Apne Naatwano Ki Khabar
Nafso Shaitaan Sayyida Kab Tak Dabate Jayenge
Hush-ar Tak Daa-leyn-gay Hum Pey-Da-Ish-e-Maula Kee Dhoom
Miss-Lay Faa-Ris Najd Kay Qil Aey Gira-Tay Jaayeingay
Khaak Ho Jaayei(n) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza
Dum Mey(n) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna-Tay Jaayei(n)gay