Phir utha walwala-e-yaad-e-mugheelaan-e-arab,
Phir khincha daaman-e-dil sooye bayaabaan-e-arab.
Bagh-e-firdous ko jaate hain haazaaraan-e-arab,
Haaye sehra-e-arab haaye bayaabaan-e-arab.
Meethi baatein teri deen-e-ajam imaan-e-arab,
Namkeen husn tera jaan-e-ajam shaan-e-arab.
Ab to hay girya-e- khoon gauhar-e-daamaan-e-arab,
Jismein do la’al the Zahra key woh thee kaan-e-arab.
Dil wohi dil hay jo aankhon sey ho hairaan-e-arab,
Aankhein wo aankhein hain jo dil sey hon qurbaan-e-arab.
Haaye kis waqt lagi phaans alam ki dil mein,
Ke bohot door rahe khaar-e-mugheelan-e-arab.
Fasl-e-gul lakh na ho wasl ki rakh aas hazaar,
Phoolte phalte hain be fasl gulistaan-e-arab.
Sadqe hone ko chale aate hain laakhon gulzaar,
Kuch ajab rang sey phoola hay gulistaan-e-arab.
Andaleebi pe jagharte hain kate marte hain,
Gul-o-bulbul ko laraata hay gulistaan-e-arab.
Sadqe rahmat key kahaan phool kahaan khaar ka kaam,
Khud hay daaman kash-e-bulbul gul-e-khandaan-arab.
Shaadi-e-hashr hay sadqe mein chutenge qaidi,
Arsh par dhoom sey hay daawat-e-mehmaan-e-arab.
Charche hote hain ye kamhlaaye huey phoolon mein,
Kyoon ye din dekhte paate jo biyabaan-e-arab.
Tere be daam key bande hain raeesaan-e-ajam,
Tere be daam key bandi hain haazaaraan-e-arab.
Hasht-e- khuld aayein wahan kasb-e-latafat ko RAZA,
Chaar din barse jahan abr-e-bahaaran-e-arab.