Pir Mere Baghdaadi Ghaus ul Anaam
Woh Hai Mere Aaqa, Main un Ka Ghulaam
Chahite Khuda Aur Rasoole Zaman Ke
Haqiqat Mein Hai Laadle Panjatan Ke
Hai Kul Auliya Ke Wahi To Imaam
Badi Shaan Waale Mere Ghausul A’naam
Chiraaghe Vilaayat, Waliye Mukarram
Karaamat Ki Shohrat Zamaane Mei(N) Aam
Baat Aisi Waliyo(N) Mei(N), Nahi(N) Hai Kisi Ki
Buland Aisi Hai Ghausul A’zam Ki Hasti
Har Simat Machi Hai, Unhi Ki Dhoom-Dhaam
Ghaus Ke Hi Ke Kaandhe Par Qadam Hai Nabi Ke
Qadam Ghaus Ke, Kaandhe Par Har Wali Ke
Yeh Hai Un Ka Rutba, Yeh Aala Maqaam
Qaadri Maikhaana Aur Ghaus Mere Saaqi
Kaise Rahegi Phir Meri Rooh Pyaasi
Ma’arifat Ka Mujh Ko Wohi Dei(N) Djaam
Dil Se Unhe Ek Baar, Jis Ne Pukaara
Us Ko Mila Allah Ke, Karam Ka Sahaara
Sab Pe Tajalli Hai Yehi Subho Shaam