Sabab e Taskeen E Qalb E Aasi hai zikr Tumhara
Rahe Ta Hayat Is Dil Pe Yun Hi Ye Karam Tumhara
Kyun Na Ho Taskeen Dil E Bad Ko Ya Rasool Allah!
Ke Bakshe Wehshat E Hashr Me Bhi Rahatien Ye Zikr Tumhara
Mera Dil Ghaflat Se Murda Hogay Tha Jeete Ji Hi Pher
Ke Isko Raah E Haq Per Jilaadien Wo Hai Zikr Tumhara
Sirf Abd Tha Mujhe Haqeeqi Abd Bana Diya Hai
Yun Kheench Laaya Mujhko Dar E Haq Per Zikr Tumhara
Ghaflat Me Jo Kabhi Tumhari Zaat Se Hi Na Waqif Tha
Karam Jo Huwa To Khaab Me Salle Ala Padhaya Zikr Tumhara
Amal To Aise Ke Lab Pe Naam Bhi Na Liya Jaaye Par Shukr Hai
Rabb E Raheem Ka Ke Hai Is Bad Zuban Par Bhi Zikr Tumhara
Lab Pe Salle Ala Ho Tasawwur Me Tumhari Tabassum
Ho Karam Ke Jaari Rahe Yun Bandagi Me Zikr Tumhara
Qalb E Nayyar Ko Aye Nayyar E Batha Kardijiye
Ke Chamakta Rahe Is Me Jalwo Se Zikr Tumhara
Submit by Nayyar Qadri