Tere ghar ke fere lagata rahu main
Sadaa shehre Makkah me aata rahu main
Haram main mai haazir huwa banke mujrim
Yeh labbaik naraa lagata rahu main
Main leta rahu bosa-e-sangey aswad
Youn dil ki siyaahi mitata rahu main
Illahi main firrta rahu girde kaaba
yoon qismat ki gardish mitaata rahu main
Lipat kar gale lag ke main multazam se
Gunahon ke dhabbe mitata rahu main
Barahim ke nakqshe pa chum kar main
Nigahon se dil main basata rahu main
Hatime haram main namazon ko pardh kar
Tere dar pe dukhrde sunata rahun main
Main peeta rahu har ghadi aabe zam zam
Lagi apne dil ki bujhata rahu main
Safaa aur marwah ke maa bain daudu
Sayi karke tujh ko manaata rahu main
Jhuki jin ke sajde ko meh’rabe kaaba
Wahi dil adab se jhukata rahu main
Barasti hai baran e rehmat haram main
Tu mizab e zar se nahata rahu main
Muzdalifa me waqte seher muskura kar
Yeh sunnat Nabi ki bataata rahu main
Rami kar ke jamraat ki main Mina mein
Tere dushmano ko mitata rahu main
Tu shar se panah de mukaddar ho aisa
Ke bas kher hi kher pata rahu main
Sanad hajje mabrur ki lele hazir
Muhammad ki chohkaht pe jata rahu main
Ho maqbul hajj haazri dayimi main
Pase hajj madine ko jata rahu main
Illahi tu aisa muqaddar aata kar
Humeshaa hi taiba main aata rahu mai
Hai Sayyed ki khwaish Madine mein mar kar
Humesha ki jannat ko paata rahu main
Submit by : A RABBANA IRHAMLANA