Shahe di ki nalain uthane ke qabil
Kaha mera sar us khazane ke qabil
Wo khake dayare habibe khuda hain
Kaha meri aankhe lagane ke qabil
Abhi wo bula le mujhe eik pal mein
Magar main kaha hoon bulane ke qabil
Khuda ki qasam wo bulainge mujhko
Main ho jaunga jab bulane ke qabil
Mera jikar chhodo tasvur bhi mera
Nahi hain madine me jane ke qabil
Agar apne amal ko yaad kar lu
Nahi ek pal muskara ne ke qabil
Hoon shahre madina ke kutto ka kutta
Main ye bhi nahi hoon batane ke qabil
Nakilain bas kholde meri ankhe
nahi unko chehra dikhane ke qabil
He javed fir bhi muqaddar pe naazan
Kiya rab ne naate sunane ke qabil
Submit By Mohd muzammil