Subha tayba me huwi chhayi hai rehmat noor ki
Sadqa lene aagayi is dar pe ummat noor ki
Unki jalwat noor ki hai unki khalwat noor ki
Wo sarapa noor hain, hai unki shoukat noor ki
Aankh mehwe deed ho dil me ho tal'at noor ki
Waqt e aakhir ho ata mujhko ziyarat noor ki
Kaise bhayengi use duniya ki ye ranaayiya'n
Loh e dil par naqsh jo karle wo tal'at noor ki
Kanz e makhfi e khuda e paak ke hakim hain wo
Bat rahi hai aaj bhi do jag me nemat noor ki
Ek pal me kabe ko qibla banaya noor ne
Kya hi chalti hai do alam par hukumat noor ki
Chaand rukh apna udhar karta jidhar jaate Huzoor
Do jahan ka aaj bhi qibla hai tal'at noor ki
Najdiyon ko ho mubarak hurqat e naar e jaheem
Ham faqeeron ko ata hogi shaf'at noor ki
Qabr ka khauf o khatar tujh ko bhala kyun hai "Tameem"
Gor e teera me ata hogi wo tal'at noor ki
Az qalam- Peerzada Syed Tameem Ashraf Hussaini Ashrafi
Farzand e Sajjada Nasheen Bargah e Shamsiya Huzoor Qutbe Raichur