Sultaan-ul-hind Ki Chaukhat Par Taqdeer Banaane Aaya Hu Naat Lyrics

सुल्तान-उल-हिन्द की चौखट पर तक़दीर बनाने आया हूँ
अफ़्साना-ए-दर्द-ए-हिज्र-ओ-अलम रो रो कर सुनाने आया हूँ

हाँ ! चश्मा-ए-फ़ैज़-ए-रहमत पर मैं प्यास बुझाने आया हूँ
मैं चिश्त के मय-ख़ाने वाली सहबा छलकाने आया हूँ

क्या भूल हुई आख़िर मुझ से, क्यूँ ख़्वाब में आना छोड़ दिया
रूठे हुए अपने ख़्वाजा को मैं आज मनाने आया हूँ

क्या पेश करूँ, क्या नज़्र करूँ, सरकार ! किसी क़ाबिल ही नहीं
कुछ फूल 'अक़ीदत के हैं जिन्हें तुर्बत पे चढ़ाने आया हूँ

बेताब है दिल, बेचैन है जाँ, राहत का कोई सामान नहीं
जलता है मेरा ख़िरमन जिस से, वो आग बुझाने आया हूँ

सदक़े में जनाब-ए-उस्माँ के, मुझ पर भी करम की एक नज़र
धोराजी से अजमेर नगर फ़रियाद सुनाने आया हूँ

जो बख़्त के मारे आते हैं, काम उन के यहाँ बन जाते हैं
ख़्वाबीदा-मुक़द्दर हूँ मैं भी, तक़दीर जगाने आया हूँ

जब राज़-ओ-नियाज़ का 'आलम हो, अल्लाह से होती हों बातें
उस वक़्त न भूलें आप मुझे, ये याद दिलाने आया हूँ

दीदार का दिल में शौक़ लिए कहता है तुम्हारा ये सय्यद
सुल्तान-उल-हिन्द के जल्वों को आँखों में बसाने आया हूँ


=============================

Sultaan-ul-hind Ki Chaukhat Par Taqdeer Banaane Aaya Hu
Afsaana-e-dard-e-hijr-o-alam Ro Ro Kar Sunaane Aaya Hu

Haa ! Chashma-e-faiz-e-rehmat Par Mai.n Pyaas Bujhaane Aaya Hu
Main Chisht Ke Mai-KHaane Wali Sehba Chhalkaane Aaya Hu

Kya Bhool Hui AaKHir Mujh Se, Kyu KHwaab Me.n Aana Chhod Diya
RooThe Hue Apne KHwaaja Ko Main Aaj Manaane Aaya Hu

Kya Pesha Karu, Kya Nazr Karu, Sarkaar ! Kisi Qaabil Hi Nahi
Kuchh Phool 'aqeedat Ke Hain Jinhe Turbat Pe Chadhaane Aaya Hu

Betaab Hai Dil, Bechain Hai Jaan, Raahat Ka Koi Saamaan Nahi
Jalta Hai Mera Khirman Jis Se, Wo Aag Bujhaane Aaya Hu

Sadqe Me Janaab-e-usmaan Ke, Mujh Par Bhi Karam Ki Ek Nazar
Dhoraaji Se Ajmer Nagar Fariyaad Sunaane Aaya Hu

Jo BaKHt Ke Maare Aate Hai.n, Kaam Un Ke Yahaa.n Ban Jaate Hain
Khwaabeeda-muqaddar Hai Mera, Taqdeer Jagaane Aaya Hu

Jab Raaz-o-niyaaz Ka 'aalam Ho, Allah Se Hoti Ho Baate
Us Waqt Na Bhoole Aap Mujhe, Ye Yaad Dilaane Aaya Hu

Deedaar Ka Dil Me.n Shauq Liye Kehta Hai Tumhaara Ye Sayyad
Sultaan-ul-hind Ke Jalwo Ko Aankho Me Basaane Aaya Hu

 

============================================

Sultanul Hind Ki Chaukhat Par Taqdeer Banane Aaya Huñ!
Afsana-e-Dard-o-Hijr-o-Alam Ro-Ro Kar Sunane Aaya Huñ!!

Kya Nazr Karuñ Kya Pesh Karuñ Sarakar Kisi Qabil He Nahiñ!!
Kuchh Phool Aqidat Ke Haiñ Jinhe Turbat Pe Chadhane Aaya Huñ!!

Sadqe Me Janab-e-Usmañ Ke Mujh par Bhi Karam Ki Ek Nazar!!
Maiñ Jaamnagar Se Ajmer Talak Fariyad Sunane Aaya Huñ!!

Kya Mahak Hai Ki Mu'attar Hai Dimaag E Aalam
Takhta E Gulshan E Firdaus Hai Rouza Tera

Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sarr Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera

Muhiyyudi(n) Ghous Hai Aur Khwaja Mueenuddi(n) Hai
Ay Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera

Sadqa Hai Khwaja-e-ajmer Ka Tujhpe Akhtar
Burj-e-rif'at Me Chamakta Hai Sitara Tera

Mufti-e-azam ka zarra kya banaa akthar raza
Mehfil-e anjum me akhtar doosraa milta nahein

Artist -Sabir Raza Azhari

Submit Rahid Sayyed

 



Connect With us