Tere Dayaar Ke Ehsaan Bhoolte Hi Nahin
Inayaton Ke Woh Samaan Bhoolte Hi Nahin
Wo Jaaliyan, Wo Dareechay, Wo Minbar O Mihraab
Wo Dar, Wo Raoza, Wo Darbaan Bhoolte Hi Nahin
Jabeen Pe Noor, Nazar Mein Adab, Dilon Mein Gudaaz
Hareem e Naaz Ke Mehmaan Bhoolte Hi Nahin
Ba Waqt e Izn e Huzoori Woh Aasuwon Ki Tadap
Wo Aarzooein Woh Armaan Bhoolte Hi Nahin
Malaaika Bhi Yeh Jannat Mein Jaake Kehte Hain
Ke Uss Nagar Ke Khayabaan Bhoolte Hi Nahin
Nazar Badal Gayi, Manzar Badal Gaye Saaray
Teri Nigaah Ke Faizaan Bhoolte Hi Nahin
Joh Parda Parda Farozaan Huwe Tere Dar Par
Rumooz e Haq Ke Woh Irfaan Bhoolte Hi Nahin
Itaa’aton Ke Joh Wa’de Huwe The Roz e Alasst
Tere Karam Se Woh Paymaan Bhoolte Hi Nahin
Joh Tere Chaahne Waloon Ne Apne Khoon Se Likhe
Mohabbaton Ke Woh Unwaan Bhoolte Hi Nahin
Tera Zuhoor Woh In’aam Hai Ke Hum Jisko
Ba Qaol e Surah e Rehman Bhoolte Hi Nahin