Teri Wehshaton se Ae Dil Mujhe kiun Na Aar Aaye
Tu Unhi se Door Bhage Jinhein Tujh Pe Pyaar Aaye
Dam-e-Iztirab Mujhko Jo Khayal-e-Yaar Aaye
Mere Dil main Chain Aaye,To Isse Qarar Aaye
Na Habeeb se Muhib ka kahin aisa Pyaar Dekha
Woh Bane Khuda ka Pyaara, Tumhen Jiss Pe Pyaar Aaye
Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka,Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka
Ke Ila'aj Gham Alam ka,Mere Gham Gusa'ar Aaye
Jo Chaman Banaye Ban Ko, Jo Jina'a Kare Chaman Ko
Mere Baagh Main Ilahi, Kabhi Woh Baha'ar Aaye
Sabab-e-Gufoor-e-Rehmat Meri Bezubaniyan Hain
Na Fuga'an ke Dhang Jaano'n, Na Mujhe Pukaar Aaye
Teri Rehmaton se Kam Hain, Mere Jurm Iss se Za'aid
Na Mujhe Hisaab Aaye,Na Mujhe Shuma'ar Aaye
Tere Sadqe Jaaye Sha'aha Yeh Tera Zaleel Mangta
Woh Waqar le Ke Jaaye Jo Zaleel-o-Khwar Aaye
Woh Kareem Hain yeh Sarwar Ke Likha Howa Hai Dar Par
Ke Jisse Lene Hon Do Ala'am Woh Umeed Waar Aaye
Tere Dar ke Hain Bhikari, Mile Khair Dam ha Dam Ki
Tera Naam Sun ke Da'ata, Hum Umeed Waar Aaye