Tumhi farsh se arsh par jaane waale
Tumhi ne'mate Rab se dilwaane wale
Tere aage sab haath pehlaane wale
Chamak Tujh se paate hain sab paane wale
Mera dil bhi chamkaade Chamkaane Wale
Hain bemisal tera karam jaan e izzat
Ghulaamo pe har dam hain teri inaayat
Wo gulshan ho sehra ho darya ke parvat
Barasta nahi dekh kar abr e rehmat
Buddo par bhi barsaade Barsaane Wale
Savaari se apni tu jis dum utarna
Madine ke zair zara tu sambalna
Waha tha mere Mustafa ka guzarna
Haram ki zameen aur aqdam rakh ke chalna
Are sar ka moka hain aujaane wale
Ye munkir munafiq ye ganda hain WAllah
Walaazat ka bal ke bulanda hain WAllah
Jahannam me naam us ka unda hain WAllah
Jo murda kahe Tum ko wo murda hain WAllah
Tu zinda hain WAllah, Tu zinda hain WAllah
Mere chashm e aalam se chup jaane
Wale Ghulaam e Nabi Khuld me jaa basse ga
Jahannam me Aqa ka munkir jalle ga
Jo aashiq hain wo to hamesha kahe ga
Rahe ga yuhi Un ka charcha rahe ga
Pare khaak ho jaaye jal jaane wale
Kabhi Ghous o Khwaaja ke naamo se ulje
Kabhi Ghous o Khwaaja ke naaro se ulje
Kabhi Auliya ke mazaaro se ulje
Ye khaa kar niaaze niaazo se ulje
Duroodo se ulje, Salaamo se ulje
Sahih ul aqeeda Imaamo se ulje
Tera khaaye Tere ghulaamo se ulje
Hain munkir ajab khaane ghurraane wale
Sada geet Un ki muhabbat ke gaana
Jighar munkiro ke yuhi tum jalaana
Ubaid e Raza unse doka na khaana
Raza ka ye paighaam na bhool jaana
Raza nafs dushman hain dum me na aana
Kaha tum ne dekhe hain chandraane wale
SUbmit by Sameer