Wo Meri Jaan bhi Jaan ki Jaan bhi
Wo Iman bhi Ruhe Iman bhi
Mahbate wahi-E-Aayate Quraan bhi
Aur Quraan bhi Ruhe Quraan bhi
Kya Bataoon Qayamat ka main majra
Rehmato- Ghaflato ka hai ik marka
Dil ko unki Shafa'at pe Iman bhi
Aqal apne kiye par pashemana bhi
Ik Din Naz pe Aapne Yun kaha
Tu bata Ta-ire Sidaratul Muntaha
Hai tere samne Aalame kun-faka
Tune payi kisi main meri Shan bhi
Bole Yoon Hazrate Jibril bhi
Aiy Nigahe Masiyat ke zohra jabi
Ho tera Misal koi, kabhi aur kahi
Rab ne Rakhkha nahi iska imkan bhi
Unki Rehmat pe "Akhtar" Dilo Jaa fida
Jinko kahta hai Sara Jaha mustafa
Go Meri zindagi unse gafil Rahi
Wo Na gafil Rahe Mujhse Aik aan bhi