Woh barta saaya-e-rahmat chala zulf-e-mu’ambar ka
HameiN ab dekhna hay houslah khursheed-e-mehshar ka
Jo be pardah nazar aajaye jalwah roo-e-anwar ka
Zara sa munh nikal aaye abhi khursheed-e-khaawar ka
Shah-e-kausar taraahem tishna-e-deedar jaata hay
Nazar ka jaam dey pardah rukh-e-pur noor se sar ka
Adab gaahest zer-e-aasmaaN az ‘arsh naazuk tar
YahaN aate haiN yuN ‘arshi ke aawaazah nahiN par ka
Hamari samt woh mahr-e-madinah meherbaaN aaya
Abhi khul jaye ga sab houslah khursheed-e-mehshar ka
Chamak sakta hai to chamkey maqabil un ki tal’at ke
HameiN bhi dekhna hai houslah khursheed-e-mehshar ka
RawaaN ho salsabeel-e-‘Ishq-e-sarwar mere seene meiN
Naho phir naaz ka kuch gham na dar khursheed-e-mehshar ka
Teraa zarra woh hai jis ne khilay anginat taare
Teraa qatrah woh hai jis se mila dhaara samandar ka
Bataana tha ke nechar un ke zeyr-e-paa musakhar hay
Bana patthar meiN yuN naqsh-e-kaf-e-paa mere Sarwar ka
Woh zaahir ke bhi hakim haiN woh baatin ke bhi SultaaN haiN
Niraala tour-e-sultani hai shaahoN ke sikandar ka
Ye sun leN saaya-e-jism-e-payambar dhoonRne waale
Bashar ki shakl meiN deegar hai woh paykar payambar ka
Woh zill-e-zaat-e-rahmaaN haiN nubuwat ke mah-e-taabaaN
Na zil ka zil kahiN dekha na saaya mah-o-AKHTAR ka