Ya NABI Ya NABI mai jo kehta raha,
Noor se motiyoun ki ladi bangayi.
Aayatoun se milata raha aayatein
Phir jo dekha to Naat-e-NABI ban gayi...
Sunnatoun per amal jab se karne laga,
Door duniya ke fashion se hone laga...
Peer-o-murshid ki jab se nigah hai padhi,
Sab se achchi Meri Zindagi Ban gayi....
Koun hai jis ko Jannat ki khwaahish nahi..?
Aur Tasleem hai, ke hai kitni hasi....
Husn-e-Jannat ko jab bhi sameta gaya...
MUSTAFA ke shaher ki gali ban gayi....
Dekh kar RABB ke MEHBOOB ﷺ ke HUSN ko,
Wad-duha padh liya Wal Qamar keh diya...
Aayatoun ki tilawat bhi hoti rahi....
Naat bhi hogayi,, Baat bhi ban gayi..
Hum faqeeroun ko Aisa GHANI chahiye...
Bheek dey aur kahe "aur kya chahiye".......
KOUN DETA HAI DENE KO MOOH CHAHIYE..
DENE WALA HAI SACHCHA HAMARA NABI ..
Mehfil-e-Naat me aaya jaaya karo......
Apna soya muqaddar jagaya karo..
Mehfil-e-Naat me aa ke baitha hai jo..
Unki bigdi howi baat bhi ban gayi..
Mujh pe itna KHUDA ka karam ho gaya...
Shaaq-e-Naql-e-Tamanna Hari ho gayi..
US Gharane Ka mai jab se noukar bana..
Sab se achchi meri Noukari ban gayi..........
Submit by Md tanzeer alam