ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw)
yahi aarzoo jo hosukhrru
mile dojahan ki aabaru
main kahu gulaam hu aapka
wo kahe ke hum ko qubool hai
ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw)
kabhi khwaja me teri did ho
teri did ho meri id ho
muje apne ishq ki bhik de
tere dar pe daman fela diya
ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw)
wo khuda nahi ba-khuda nahi
wo magar khuda se juda nahi
wo hain kya magar wo hai kya nahi
ye muhib habib ki baat hai
ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw)
jise chaha darpe bula liya
jise chaha apna bana liya
ye bare karam ke hain fesale
ye bare nasib ki baat hai
ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw)
na kisi ke ashk pe tanz kar
na kisi ke gam ka mazak ura
jis chahe jaise nawaz de
ye mijaze ishke rasool hai
ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw)
tuje naaz huro kusur par
muje naaz zikre rasool par
teri khuld kaisi hai tu bata
meri khuld kue rasool hai
ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw)
'shaakir' pe hardam ho karam
rizawa pe hardam ho karam
inhe apne ishk ki bhik de
tere din ke hain ye pasba